मेन्यू बंद करे

Hindimehelp के फाउंडर का Interview

आप सभी का Gyanveda के इस लेख में स्वागत है। इस लेख में आप हिन्दी के टॉप ब्लॉग में से एक Hindimehelp के फाउंडर Rohit Mewada Ji का Interview पढ़ेंगे।

Hindimehelp हिंदी ब्लॉगिंग की दुनिया में एक टॉप हिन्दी ब्लॉग है। जिसके फाउंडर Rohit Mewada Ji हैं। Rohit Mewada Ji इंटरनेट और ब्लॉगिंग आदि संबंधित टॉपिक पर Hindi Me Help करते हैं।

यदि आप ब्लॉगिंग की दुनिया में आना चाहते है। तब यह लेख आपके लिए महत्वपूर्ण सिद्ध हो सकता है। यह लेख नये ब्लॉगर्स के लिए मार्गदर्शन का काम कर सकता है।

Hindimehelp के फाउंडर Rohit Mewada Ji का Interview

सबसे पहले तो मैं रोहित सर का धन्यवाद करना चाहूँगा। जो उन्होंने Gyanveda के इस छोटे से Interview के लिए अनुमति दी और Interview में पुछे गए प्रश्न और उनके उत्तर को Gyanveda पर शेयर करने की अनुमति दी।

वैसे तो Hindimehelp के बारे में बताने की जरूरत तो नहीं है। क्योंकि हिन्दी ब्लॉगिंग के क्षेत्र के हर एक ब्लॉगर को Hindimehelp ब्लॉग तथा इनके फाउंडर Rohit Mewada Ji के बारे में पता है। किन्तु अगर आप हिन्दी ब्लॉगिंग में नये हैं तब हम आपके लिए Hindimehelp का एख छोटा परिचय देता हूँ।

Hindimehelp का परिचय (Information About Hindimehelp Blog in Hindi)

Hindimehelp एक हिन्दी ब्लॉग है। जिसके फाउंडर Rohit Mewada Ji हैं। इस ब्लॉग को 19 फरवरी 2015 को शुरु किया गया था। इस ब्लॉग पर मुख्य रूप से Beginner Guide, Blogging, Seo, Internet, Make Money इत्यादि से संबंधित लेख शेयर किया जाता है।

Hindimehelp ब्लॉग इंडिया में टॉप ब्लॉग के श्रेणी में आता है। अगर आप एक नये ब्लॉगर हैं या हिन्दी ब्लॉगिंग में आना चाहते हैं। तब Hindimehelp के बारे में जानना आपके लिए लाभदायक हो सकता है।

Hindimehelp के Alexa Rank (23/10/2020)54,380
Hindimehelp के India Alexa Rank (23/10/2020)5,656
Hindimehelp के Domain Authority (23/10/2020)20
Hindimehelp के Page Authority (23/10/2020)43
About HMH

Hindimehelp के फाउंडर Rohit Mewada Ji से पुछे गए प्रश्न और उनके उत्तर

ब्लॉग Hindimehelp और Rohit Mewada Ji से जानने के लिए तो बहुत कुछ है। किन्तु यहाँ सिर्फ ब्लॉगिंग से संबंधित प्रश्न ही पुछे गए हैं। जो सभी ब्लॉगर्स खास कर के नये ब्लॉगर्स को ब्लॉगिंग में मार्गदर्शन और Motivation मिलेगा।

प्रश्न-1:- आप अपने और अपने ब्लॉग के बारे में कुछ हमारे पाठको को बताइए?

उत्तर:- Mera Naam Rohit Mewada hai or me Sehore, M. P. Se hu.

Study ke according me ek engineer hu par Profession ke according dekha jaye to me ek Blogger hu jiska meri study se koi lena dena nahi hai.. Mene sok ke tor par blogging start ki thi or aaj Blogger meri Full Time job Hai..

Blogging ke sath me apna Family Business bhi dekhta hu.

प्रश्न-2:- आप ब्लॉगिंग की तरफ कैसे आए?

उत्तर:- Jesa ke mene bataya.. Blogging mene sok ke tor par start ki thi.. Sach batao to jab mene blogging start ki thi uss time to muje ye tak bhi nahi pata tha jo me kar raha hu isko blogging Kehte Hai.

Wass me aese hi kuch search Kar raha tha Google par “How to create a website” to waha se muje pata chala ki ham Blogger.com or WordPress jese platform ki help se aasani se apni website bana sakte hai. Wass mene ye sab khud se sikh kar implement karna start kar diya..

Daily ka mera ek task rehta tha.. Blogging se related kuch naya sikhna hai fir wo apne blog par apply karna hai.. Muje 2 saal Baad pata chala ki ham blog se paise bhi kama sakte hai. To aap Iss Baat se andaja laga sakte ho ki 2 saal bina 1 rupee ki earning ka soche me itni lagan se blogging karta tha..

Fir jab career select karne ka time aaya to mene blogging select ki kyu ki muje uss kaam me maza aata tha or me usse Acha earn bhi kar sakta tha.

प्रश्न-3:- आपने अपना ब्लॉग किस उद्देश्य से बनाया था और क्या वह उद्देश्य आज पूरा हुआ?

उत्तर:- Blogging starting me to Sirf sok ke tor par karta tha.. To uss time koi khas uddesh nahi tha. Par Jab career ki Baat aai to sabse Pehla target to tha ki kam se kam itna earn kar Saku jitna ek job me kar pata.. Or mera Pehle se blogging me experience tha to Iss target ko achieve karne me Jada time nahi laga.

Mera 2nd target tha.. Me blog ki help se unn logo ki help karu jinhe wo sab problem Aa rahi jo starting me muje aai.. Kyu ki muje kuch bhi janna hota tha to muje bhut research karna padta tha.. Fir baki muskil se sahi jankari mil pati thi jesa muje cahiye rehti thi.

To mene wahi sab simple language me share kiya. Taki ab koi or wo sab search kare jo mene kiya tha to unko wo sab detail me mil sake.. Or Iss mamle me bhi me bhut Hadd tak success ho paya hu.. 1000+ aese blogs hai jo meri guide or HMH ki help se banaye gaye hai.. Jo ke khud me ek bhut badi uolabdi hai.

प्रश्न-4:- आप ब्लॉगिंग में कितना समय देते हैं और नये ब्लॉगर्स को अपने ब्लॉग पर कितना समय देना चाहिए?

उत्तर:- Blog ko to jitna time diya jaye kam hai.. Par fir bhi agar aapko usse return me kuch ummid hai to kam se kam 3 4 ghante to dena padega..

New blogger ko me ye suggest karuga ki wo starting me sikhne par Jada focus kare or blogging me kya kya hota hai wo sikhe or implement kare.. Result milne ki ummid jaldi naa kare.. Agar jo bhi blogging me hota hai wo thik se kiya jayega to uska result to milna hi hai.

Par mene dekha hai 90% log blogging start to kar dete hai kisi ko dekh kar.. Par wo tik nahi pate.. Kyu ki starting me Accha response nahi milta blog par Jisse wo blogging chor dete hai..

Mere hisab se blogging me success Sirf wo ho sakte hai. Jinko blogging me maza aata hai or ji me thoda dherya ho.

प्रश्न-5:- ब्लॉग पोस्ट लिखते समय किन किन बातों का ध्यान रखना चाहिए?

उत्तर:- Bhut sahi Question kiya aapne.. Kyu ki bhut se bloggers iske ware me nahi Sochte or kuch bhi post likh kar publish kar dete hai fir Accha response mile uss time ka wait karte hai.

Ek badiya post likhne ke liye wese to bhut si bate hai jinka dhiyan rakhna cahiye. Kuch main points me Bata deta hu:

  • jis bhi topic par post likh rahe hai, sabse Pehle uski puri jankari khud le.
  • jo bhi topic hai, uske andar ke jitne bhi sub topics hai unn sabko bhi post me detail me share kare.. Taki koi bhi user post par aaye to fir uska koi bhi question adhura naa rahe uss topic se related
  • Post ka formate or likhne ki tone ka bhi dhiyan rakhna jaruri hai.. Taki user ko read karne or samajne me aasani ho.

प्रश्न-6:- आप ब्लॉग पर ट्रैफिक बढ़ाने के लिए क्या क्या करते हैं?

उत्तर:- Traffic badane ke wese to hajaro tarike hai, or hame kosis karni cahiye jitne bhi possible tarike hai sab try kare.

Mera main traffic target google se hi hota hai.. Iske liye Badiya SEO karke post Publish karna padta hai.. Or ye bhi thoda research karna padta hai ki user kya jada search karte hai or jis trha wo jankari Pana chate hai.

Kyu ki Google par 1st rank karna jada kathin nahi hai.. Par rank karke waha bane rehna kathin hai.. Kyu ki agar koi user google me search karke Hamare blog par aaya or back karke turant chala gaya to google usko samajhta hai ki jo user ko cahiye tha wo Iss site par nahi hai to Google Hamare blog ki rank down kar deta hai.. Isliye high quality detail post bhut jaruri hai agar search engine se traffic cahiye To.

प्रश्न-7:- आपको ब्लॉगिंग में सबसे मुश्किल काम क्या लगता है?

उत्तर:- Wese to koi bhi kaam ho muskil jab lagta hai, jab uss kaam me maza naa aaye ya wo kaam karne me mann naa lage.. Par mere case me aesa to hai hi nahi isliye muje blogging me kuch bhi karna ho usme maza aata hai..

Fir bhi agar kuch aese kaam ki Baat karu jisme mera jada time jata hai to wo Comments reply.. Kyu ki post par itne question aate hai comment me ki me sabka reply kar hi Nahi sakta to aese me muje ye kaam thoda load wala lagta hai. Fir bhi me agar koi aesa question hai jo war war Aa raha ho to uske upar ek alag se post hi publish kar deta hu.

प्रश्न-8:- आप ब्लॉगिंग में कितने सोर्स से पैसे कमाते हैं?

उत्तर:- Earning ke wese to bhut source hai. Or jaha bhi possible ho wo moka nahi Jane dena cahiye.

Mere ye kuch main source hai blog se earn karne ke :

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Sponsor Post
  • Paid Link
  • Paid Promotion/ Review
  • Personal Guidance
  • YouTube

प्रश्न-9:- क्या ब्लॉग से पैसे कमाने के लिए ऐडसेंस सबसे अच्छा माध्यम है?

उत्तर:- Iska koi fix answer nahi hai.. Or Inka andaja aap Iss Baat se laga sakte hai ki meri total earning ka Sirf 10% Adsense se aata hai..

Agar aesa blog hai jispar social media se bhar bhar ke traffic aata hai.. Ya koi aese topic hai jis par log Sirf time pass ya Manoranjan ke liye aate hai waha adsense ka use karna sahi hai.

Par agar ham kisi product ya service ke ware me jankari dete hai to ham unki Affiliate link dekar adsense se Kai guna Jada kama sakte hain.

प्रश्न-10:- आप ब्लॉगिंग के अलावा क्या करते हैं?

उत्तर:- Mera main kaam to Blogging hi hai..

Baki iske aalawa Hamari Pashu Aahar ki Shop hai jispar bhai bethta hai, wo bhi dekhta hu or Gav par Khet bhi hai wo waha bhi thoda bhut dekh lete hai. Baki kheti karta to nahi hu par dekhni padti hai.

प्रश्न-11:- आपको कौन सा ब्लॉग या वेबसाइट पसंद है और क्यों?

उत्तर:- Muje jo bhi jankari cahiye hoti hai wo jis website par ache se mil jaye wo me feed me follow Kar leta hu.. 1000+ website hogi jo me follow karta hu.

प्रश्न-12:- आपका सबसे पसंदीदा टॉपिक क्या है जिससे संबंधित लेख लिखना आपको पसंद हो।

उत्तर:- Blogging me HMH ka mera jo topic hai wo internet or Blogging hi hai.. Jispar me blogging se related hi post publish karta hu.

To aap ye keh sakte hai ki Blogging topic par jankari share karna, Blogging ke ware me naya sikhna, ispar post likhna, Jo sikha u

प्रश्न-13:- क्या अभी भी ब्लॉगिंग करना सही है?

उत्तर:- Bilkul sahi hai.. Ya yu kahe Aage yahi future hai.. Kyu ki aaj ke time me lagbhag sabhi kaam Online Hota Hai or aane wale time me jo abhi online nahi hai wo bhi aane wala hai..

To simple se Baat Hai jaha jada user hoge waha success hone ke chances bhi jada hoge.

प्रश्न-14:- आपके अनुसार किसे ब्लॉगिंग करना चाहिए और किसको नहीं करना चाहिए?

उत्तर:- Blogging kise karni cahiye usme sabse main point to me ye manta hu jisko blogging karne me maza aaye.. Kyu ki agar maza nahi aayega to Blogging ka kaam ek bojh ki trha lagega or aese me wo naa tikh se kaam kar payege or naa jada din tak regular reh payege.

Ye kuch or point jinhe blogging karni cahiye:

  • agar read karna ya likhna pasand hai to Blogging ek Accha option hai.
  • kisi topic me acchi jankari hai jo log janna chate hai to wo blog ki madad se share kar sakte hai.
  • online apni pehchan bana sakte hai.
  • blog ki help se apne dusre business ko bhi promote kar sakte hai.

प्रश्न-15:- आपके अनुसार ब्लॉगिंग के लिए कौन सा प्लेटफॉर्म सबसे अच्छा है?

उत्तर:- Agar new hai to Blogger.com sahi rahega jo free hai, jisko ham sikhne ke time use kar sakte hai.. Par agar full operational website banani hai to me WordPress ko select karuga jisme hame kuch bhi karne ka pura freedom milta hai.

प्रश्न-16:- नये ब्लॉगर्स को शुरुआत में ब्लॉगिंग Full Time करना चाहिए या Part Time और क्यों?

उत्तर:- Full time koi bhi blogging jab kar sakte hai, jab unko lage ki Haa wo puri life ispar depend reh sakte hai. Or starting me muje nahi lagta koi itna bada fesla le sakte hai.

प्रश्न-17:- ब्लॉगिंग में सफलता प्राप्त करने के लिए सबसे जरूरी क्या है?

उत्तर:- Sirf Blogging hi nahi.. Koi bhi kaam ho Continuity or Apne aapko or apne Kaam ko improve karte Rehne par hi success milti hai.

Blogging Me bhi jo bhi kuch hota hai wo sikh kar usko implement karne par hi success mil sakti hai.. Agar ham Sirf post daal kar soche Wass ab kuch nahi karna traffic Aa jayegi to aesa nahi ho sakta.

प्रश्न-18:- क्या ब्लॉग शुरू करने की तुलना में युट्यूब चैनल शुरू करना बेहतर है?

उत्तर:- Dono ko compare karna hi galat hai. Kyu ki dono platform ka maksad alag hai or dono me alag chije hoti hai.. Or aesa bhi nahi hai blog bana liya to youtube par video nahi daal sakte..

Dono ko agar sath me Kiya jaye to mere hisab se ham or Jada high quality post publish kar payege. Kyu ki Post me Ham video embed karke post ki quality or Jada improve kar sakte hai.. Jisse user ko jo jankari cahiye wo text or video dono me ache se mil jayegi.

प्रश्न-19:- क्या आपने कभी सोचा था कि आपका ब्लॉग इतना आगे जाऐगा की लोग आपका Interview करेंगे?

उत्तर:- Haha, muje nahi lagta aesa koi sochta hoga starting me. Haa mene ye jarur socha tha ki jada se Jada logo se jhud Saku. Or kahi na kahi me logo se jud paya unki problem solve kar paya wahi reason hai ki mera interview lekar mera point of view kya hai wo share kiye jate hai.

Or ye aapka badappan bhi hai.. Ki aapko me uss layak laga.. Ki aap muje apne blog par mention kiye.

प्रश्न-20:- आपने इस साल अपने ब्लॉग के लिए क्या लक्ष्य रखा था?

उत्तर:- Target to wese hote hi hai.. Jab hi tikh se kaam ho pata hai..

Wese HindiMeHelp ke aalawa bhi or blogs hai mere jispar mere alag alag target the.

Main target kuch achieve karne ka tha.. Jo abhi pending me hai.. Kuch life Ki Problem or Kuch Corona Effect ke karan abhi achieve nahi hua.. Baki kaam jari hai.

प्रश्न-21:- आप अपने अनुभव से नये ब्लॉगर्स को क्या सलाह देना चाहेंगे?

उत्तर:- Blogging ek Accha profession hai.. Agar aap blogging start kar rahe hai to kisi ko dekh kar apne aapko usse compare naa kare.. Ho sakta hai aapne abhi start kiya ho or wo bhut time se Iss field me hai to simple se Baat Hai jisko jada expriance hoga usko jada Accha result milega.

Wass kosis karo hamesa kuch naya sukhte rahe or usko implement karte jaye. Kabhi ummid se Jada Accha result milega to ho sakta hai kabhi thoda nirash hona pade.. Par agar lage rahe to success hone se koi nahi rok sakta.

धन्यवाद?

अंत में मैं Hindimehelp के फाउंडर रोहित सर को धन्यवाद करता हूँ और कहना चाहता हूँ कि ऐसे ही New Bloggers की मदद करते रहिए।

अगर आप ब्लॉगिंग में आपना Career बनाना चाहते हैं। तब आप Hindimehelp ब्लॉग पर जरूर Visit करें। यह ब्लॉग आपके लिए लाभदायक सिद्ध होगा।

उम्मीद करता हूँ कि सभी ब्लॉगर्स को ब्लॉगिंग से संबंधित प्रश्न के उत्तर मिल गए होंगे। जो आपके लिए मार्गदर्शन का काम करेगा।

उम्मीद है कि यह लेख Hindimehelp के फाउंडर का Interview पसंद आया होगा। अगर आप हमसे कुछ पूछना चाहते हैं या कुछ सुझाव देना चाहते हैं। तब आप कमेंट कर सकते हैं।

TAG:- Hindimehelp, Allhindihelp, Hindime, HindimeInterview, AllHindimeHelp,

Related Posts

9 Comments

प्रातिक्रिया दे

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *